qadam na rakh meri chashm-e-pur-ab ke ghar mein
bhara hai mauj ka tufan habab ke ghar mein
kahe hai dekh ke wo aks-e-ruKH ba-saghar-e-mai
nuzul-e-mah hua aaftab ke ghar mein
mudam rind karen kyun na aastan-bosi
haram hai shaiKH-e-mashiKHat-maab ke ghar mein
hamare dil mein kahan aable hain ai saqi
chune hue hain ye shishe sharab ke ghar mein
taDap ko dekh mere dil ki barq-e-atish-bar
KHajil ho chhup gai aaKHir sahab ke ghar mein
dila na kyunke karun iKHtilat ki baaten
hijab kya hai ab us be-hijab ke ghar mein
'nasir' dekh to kya jalwa-e-KHudai hai
hamare us but-e-KHana-KHarab ke ghar mein
Ghazal
Qadam na rakh meri chashm-e-pur-ab ke ghar mein
Shah Naseer

