qadam insan ka rah-e-dahr mein tharra hi jata hai
chale kitna hi koi bach ke Thokar kha hi jata hai
nazar ho KHwah kitni hi haqaeq-ashna phir bhi
hujum-e-kashmakash mein aadmi ghabra hi jata hai
KHilaf-e-maslahat main bhi samajhta hun magar naseh
wo aate hain to chehre par taghayyur aa hi jata hai
hawaen zor kitna hi lagaen aandhiyan ban kar
magar jo ghir ke aata hai wo baadal chha hi jata hai
shikayat kyun ise kahte ho ye fitrat hai insan ki
musibat mein KHayal-e-aish-e-rafta aa hi jata hai
shagufon par bhi aati hain balaen yun to kahne ko
magar jo phul ban jata hai wo kumhla hi jata hai
samajhti hain maal-e-gul magar kya zor-e-fitrat hai
sahar hote hi kaliyon ko tabassum aa hi jata hai
Ghazal
Qadam insan ka rah-e-dahr mein tharra hi jata hai
Josh Malihabadi