اردو हिंदी
Qad o gesu lab-o-ruKHsar ke afsane chale | Shaahi Shayari
qad o gesu lab-o-ruKHsar ke afsane chale

Ghazal

Qad o gesu lab-o-ruKHsar ke afsane chale

Ahmad Rahi

;

qad o gesu lab-o-ruKHsar ke afsane chale
aaj mahfil mein tere nam pe paimane chale

abhi tu ne dil-e-shorida ko dekha kya hai
mauj mein aae to tufanon se Takrane chale

dekhen ab rahta hai kis kis ka gareban sabit
chaak-e-dil le ke teri bazm se diwane chale

phir kisi jashn-e-charaghan ka guman hai shayad
aaj har samt se pur-soKHta parwane chale

ye masihai bhi ek turfa-tamasha hai ki jab
dam ulaT jae to wo zaKHmon ko sahlane chale

jis ne uljhaya hai kitne hi dilon ko yaro
hum bhi us zulf-e-girah-gir ko suljhane chale