اردو हिंदी
Qatil-e-alam se kya yarana hai | Shaahi Shayari
qatil-e-alam se kya yarana hai

Ghazal

Qatil-e-alam se kya yarana hai

Mirza Maseeta Beg Muntahi

;

qatil-e-alam se kya yarana hai
dil charagh-e-gor ka parwana hai

har makan mein jalwa-e-jaanana hai
aashiqon ka har jagah afsana hai

chhin lega bahr-e-zulf-e-ambarin
ye dil-e-sad-chaak rashk-e-shana hai

log kahte hain jise pir-e-mughan
yar ka kya jalwa-e-mastana hai

halqa-e-ada mein hai wo sim-bar
ganj hai jis ja wahan virana hai

jis jagah chalte the kal jam-e-sharab
aaj wan ulTa hua paimana hai

baiat-e-dast-e-subu se ye khula
sab se behtar mashrab-e-rindana hai

kyun na phanse daulat-e-duniya hamein
hai wahan par dam jis ja dana hai

mard-e-aKHir-bin ke aage munimon
kasrat-e-hasti bhi ek virana hai

kaam kya hai us ko mulk-o-mal se
pas jis ke himmat-e-mardana hai

hijr mein ashk-e-musalsal zahida
aashiqon ka subha-e-sad-dana hai

'muntahi' zer-e-qadam us yar ke
sar kaTana sajda-e-shukrana hai