pyase ko har qatra sagar lagta hai
har manzar ab us ka manzar lagta hai
hum ne apne qad ko itna khinch liya
jab bhi uThte hain chhat mein sar lagta hai
aaya hai wo jab to koi baat kare
us ki is KHamoshi se Dar lagta hai
hoti hai tab apne ki pahchan hamein
piTh mein jab bhi koi KHanjar lagta hai
milta hai wo jab bhi aa kar KHwabon mein
yaadon ka ek mela shab-bhar lagta hai
din-bhar KHwab nazar aate hain mahlon ke
sham Dhale foot-path pe bistar lagta hai
warna to hain 'shoKH' faqat kuchh diwaren
wo jab aa jata hai to ghar lagta hai
Ghazal
Pyase ko har qatra sagar lagta hai
Parvindar shokh