pyas jo bujh na saki us ki nishani hogi
ret par likkhi hui meri kahani hogi
waqt alfaz ka mafhum badal deta hai
dekhte dekhte har baat purani hogi
kar gai jo meri palkon ke sitare raushan
wo bikharte hue suraj ki nishani hogi
phir andhere mein na kho jae kahin us ki sada
dil ke aangan mein nai shama jalani hogi
apne KHwabon ki tarah shaKH se TuTe hue phul
chun rahi hun koi taswir sajaani hogi
be-zaban kar gaya mujh ko to sawalon ka hujum
zindagi aaj tujhe baat banani hogi
kar rahi hai jo mere aks ko dhundla 'sarwat'
main ne duniya ki koi baat na mani hogi

Ghazal
Pyas jo bujh na saki uski nishani hogi
Noor Jahan Sarwat