pyas har zarra-e-sahra ki bujhai gai hai
tab kahin ja ke meri aabla-pai gai hai
qaid mein rakkhi gai hai kahin titli koi
koi KHushbu kahin bazar mein lai gai hai
kya bhala apni samaat mein ghule koi miThas
waqt ke honTon se kab talKH-nawai gai hai
kis ki tanwir se jal uTThe basirat ke charagh
kis ki taswir ye aankhon se lagai gai hai
ho gai ja ke shafaq-rangi-e-afaq mein zam
kaf-e-doshiza-e-dil se jo hinai gai hai
uTh ai barbaad-e-tamanna ki nai KHwab--kaniz
haram-e-chashm mein phir raqs ko lai gai hai
waqt aisa bhi to aaya hai junun par 'sarim'
nok-e-mizhgan se talwar uThai gai hai
Ghazal
Pyas har zarra-e-sahra ki bujhai gai hai
Arshad Jamal u0027Sarimu0027