اردو हिंदी
Pyar kiya tha tum se maine ab ehsan jatana kya | Shaahi Shayari
pyar kiya tha tum se maine ab ehsan jatana kya

Ghazal

Pyar kiya tha tum se maine ab ehsan jatana kya

Ahmad Ziya

;

pyar kiya tha tum se main ne ab ehsan jatana kya
KHwab huin wo pyar ki baaten baaton ko dohrana kya

rah-e-wafa hai ham-safro pur-azm raho han tez chalo
chaar qadam pe manzil hai ab rah se wapas jaana kya

sang-zani o tana-zani is daur ka shewa hai yaro
apne dil mein khoT nahin jab duniya se ghabrana kya

mai-KHane mein daur chale main ek ek bund ko tarsa hun
saqi bhi hai meri nazar mein shisha kya paimana kya

mere dil ko toD ke aaKHir kya khoya kya paya hai
shahr-e-sanam mein rahne walo shishe se Takrana kya

basti basti parbat parbat wahshat ki hai dhup 'ziya'
chaaron jaanib virani hai dil ka ek virana kya