اردو हिंदी
Pyar ka dard ka mazhab nahin hota koi | Shaahi Shayari
pyar ka dard ka mazhab nahin hota koi

Ghazal

Pyar ka dard ka mazhab nahin hota koi

Sulaiman Areeb

;

pyar ka dard ka mazhab nahin hota koi
kaba-o-dair se matlab nahin hota koi

sach to ye hai ki main har bazm mein tanha hi raha
yun magar pas mere kab nahin hota koi

jaan-o-iman sahi sab kuchh sahi tu mere liye
hae kis munh se kahun sab nahin hota koi

ek saya tha jise main ne pakaDna chaha
wo jo hota tha koi ab nahin hota koi

chandni phul hawa jam sitare KHushbu
zahr ke nam hain jis shab nahin hota koi

mujh ko KHud mujh se bhi milne nahin deti duniya
chhup ke milta hun kabhi jab nahin hota koi

jis ko mil jae ye daulat ho mubarak us ko
sher sab ke liye mansab nahin hota koi