pyar ka abr khul ke barsa hai
TuT kar main ne tujh ko chaha hai
is se baDh kar judai kya hogi
ab to aankhon se KHun bahta hai
shayad ab phir kabhi na mil paen
main ne KHwabon mein tujh ko dekha hai
ek kiran ko taras rahe hain hum
sehn-e-dil mein baDa andhera hai
sab ko phulon ki aarzu hai 'niyaz'
kaun patton se pyar karta hai
Ghazal
Pyar ka abr khul ke barsa hai
Niyaz Husain Lakhwera

