puchhte kya ho tera ye haal kaisa ho gaya
tum na jaano to KHuda jaane mujhe kya ho gaya
aashiqi mein wahm baDhte baDhte sauda ho gaya
qatra qatra jama hote hote dariya ho gaya
wo sarapa naz hai mujh se bura to kya karun
chaar ne achchha kaha jis ko wo achchha ho gaya
aashiqi mein nam agar darkar hai badnam ho
dekh sab kuchh ho gaya jab qais ruswa ho gaya
kuchh ho lekin ab mera dil tum se phir sakta nahin
ye to jis ka ho gaya kam-baKHt us ka ho gaya
apne pahlu mein biThaya aap ne aghyar ko
dekhiye baiThe-biThae ka ye jhagDa ho gaya
le liya yaad-e-mizha ne mujh ko sail-e-ashk se
Dubne wale ko tinke ka sahaara ho gaya
dagh-e-ha-e-hijr mein bhi dil mein hain KHar-e-shauq bhi
bagh ka bagh aur ye sahra ka sahra ho gaya
le ke dil ilzam dete ho ghanimat hai yahi
mal ka mul aa gaya adle-ka-badla ho gaya
dil ki ghabrahaT nasim-e-subh-dam se kam hui
wo na aae ghaib se saman paida ho gaya
kya yahi hai sharm tere bhole-pan ke main nisar
munh pe donon hath rakh lene se parda ho gaya
meri har ek baat qanun-e-mohabbat hai magar
ai safi' main shairi karne se jhuTa ho gaya

Ghazal
Puchhte kya ho tera ye haal kaisa ho gaya
Safi Aurangabadi