puchhte hain bazm mein sun kar wo afsana mera
aap hain kahti hai duniya jis ko diwana mera
bas yahi hai muKHtasar tashrih husn-o-ishq ki
wo tumhaari dastan hai ye hai afsana mera
hain tasawwur mein tere jalwe teri ranaiyan
raunaq-e-sad-anjuman hai aaj virana mera
KHud mere aansu hi us ke haq mein shoale ban gae
barq-o-baran se to tha mahfuz kashana mera
khil raha hai mere chehre se mera ahwal-e-gham
kah rahi hai meri KHamoshi hi afsana mera
main nahin qail kisi taqlid ka ai rahbaro
har qadam uThta hai manzil mein harifana mera
maujzan hai KHun-e-dil ab chashm-e-tar mein ai 'jalis'
baada-e-gul-gun se hai labrez paimana mera

Ghazal
Puchhte hain bazm mein sun kar wo afsana mera
Brahma Nand Jalees