puchhen tere zulm ka sabab hum
itne to nahin hain be-adab hum
ilzam nahin hai fasl-e-gul par
KHud apne junun ka hain sabab hum
sahil pe siwae KHak kya tha
gharqab hue hain tishna-lab hum
karte hain talash-e-admiyyat
duniya mein hain aadmi ajab hum
fursat ho to aa ke dekh jao
muddat se paDe hain jaan-ba-lab hum
bahar se hain momin-e-sarapa
indar se tamam bu-lahab hum
har shaKH pe gul khile hue the
gulshan se 'saba' chale the jab hum

Ghazal
Puchhen tere zulm ka sabab hum
Saba Akbarabadi