puchha na jaega jo watan se nikal gaya
be-kar hai jo dant dahan se nikal gaya
Thahren kabhi kajon mein na dam bhar bhi rast-rau
aaya kaman mein tir to san se nikal gaya
KHilat pahan ke aane ki thi ghar mein aarzu
ye hausla bhi gor-o-kafan se nikal gaya
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash
muddat hui gharib watan se nikal gaya
murghan-e-bagh tum ko mubarak ho sair-e-gul
kanTa tha ek main so chaman se nikal gaya
kya rang teri zulf ki bu ne uDa diya
kafur ho ke mushk KHutan se nikal gaya
pyasa hun is qadar ki mera dil jo gir paDa
pani ubal ke chah-e-zaqan se nikal gaya
sara jahan nam ke pichhe tabah hai
insan kiya aqiq-e-yaman se nikal gaya
kanTon ne bhi na daman-e-gulchin pakaD liya
bulbul ko zabh kar ke chaman se nikal gaya
kya shauq tha jo yaad sag-e-yar ne kiya
har ustuKHan taDap ke badan se nikal gaya
ai sabza rang-e-KHat bhi bana ab to bosa de
begana tha jo sabza chaman se nikal gaya
manzur ishq ko jo hua auj-e-husn par
qumri ka nala sarw-e-chaman se nikal gaya
madd-e-nazar rahi hamein aisi raza-e-dost
kaTi zaban jo shikwa dahan se nikal gaya
taus ne dikhae jo apne badan ke dagh
rota hua sahab chaman se nikal gaya
sahra mein jab hui mujhe KHush-chashmon ki talash
koson main aahuwan-e-KHutan se nikal gaya
KHanjar khincha jo myan se chamka miyan-e-saf
jauhar khule jo mard watan se nikal gaya
mein sher paDh ke bazm se kiya uTh gaya 'amir'
bulbul chahak ke sehn-e-chaman se nikal gaya
Ghazal
Puchha na jaega jo watan se nikal gaya
Ameer Minai