اردو हिंदी
Puchh na humse kaise tujh tak naqd-e-dil-o-jaan lae hum | Shaahi Shayari
puchh na humse kaise tujh tak naqd-e-dil-o-jaan lae hum

Ghazal

Puchh na humse kaise tujh tak naqd-e-dil-o-jaan lae hum

Zubair Rizvi

;

puchh na hum se kaise tujh tak naqd-e-dil-o-jaan lae hum
kin rahon se bach kar nikle kis kis se katrae hum

raat akela pa kar KHud ko maiKHane le aae hum
pi kar jhume jhum ke nache der talak lahrae hum

duniya walon ne jine ki sharhen kaThin lagai thin
KHushbu ban kar phail gae hum baadal ban kar chhae hum

kaise kaise rishte joDe ajnabiyon ne bhi hum se
sagar tah se do ek moti jab se chun kar lae hum

shahr-e-dil mein raat koi sauda-gar ban kar aaya tha
naqd-e-dil-o-jaan saunp ke us ko subh bahut pachhtae hum

tashbihon ke rang-mahal mein koi na tujh ko jaan saka
git suna kar ghazlen kah kar diwane kahlae hum

chanda jaisa rup tha apna phulon jaisi rangat thi
tere gham ki dhup mein jal kar kumlae murjhae hum