pursish jo hogi tujh se jallad kya karega
le KHun main ne baKHsha tu yaad kya karega
hun dam mein pur-afshan aur sadgi se hairan
kyun tez ki hain chhuriyan sayyaad kya karega
zalim ye soch kar ab deta hai bosa-e-lab
jab honT si diye phir fariyaad kya karega
zanjir tar-e-daman hai tauq ek gareban
zor-e-junun na kam ho haddad kya karega
hum Dub kar marenge hasrat rahegi tujh ko
jab KHak hi na hogi barbaad kya karega
yaqub qata kar den ummid-e-wasl dil se
yusuf sa banda koi aazad kya karega
dil le ke puchhta hai tu kis ka shefta hai
bhula abhi se zalim phir yaad kya karega
ai KHatt-e-bayaz aariz darkar hai jo tujh ko
tahrir husn ki kuchh rudad kya karega
kunj-e-qafas se ek din hogi rihai apni
mar jaenge to aaKHir sayyaad kiya karega
misl-e-sipand dil hai betab soz-e-gham mein
rah jaega taDap kar fariyaad kya karega
ai shaiKH bhar gaya hai kyun waz ki hawa mein
rish-e-safed apni barbaad kya karega
zulm-o-sitam se bhi ab zalim ne hath khincha
is se sitam wo baDh kar ijad kya karega
az-bas-ki be-hunar hun main nang-e-mo'tariz hun
mazmun pe mere koi irad kya karega
ai nazm jis ko chahe wo de bahisht dozaKH
namrud kya karega shaddad kya karega
Ghazal
Pursish jo hogi tujhse jallad kya karega
Nazm tabaa-tabaa.ii