purkhon se jo mili hai wo daulat bhi le na jae
zalim hawa-e-shahr hai izzat bhi le na jae
wahshat to sang-o-KHisht ki tartib le gai
ab fikr ye hai dasht ki wusat bhi le na jae
pichhe paDa hai sab ke jo parchhaiyon ka pap
hum se adawaton ki wo aadat bhi le na jae
aangan ujaD gaya hai to gham is ka ta-ba-kai
mohtat rah ki ab ke wo ye chhat bhi le na jae
barbaadiyan sameTne ka us ko shauq hai
lekin wo un ke nam pe barkat bhi le na jae
aadil hai us ke adl par hum ko yaqin hai
lekin wo zulm sahne ki himmat bhi le na jae
un sohbaton ka zikr to zikr-e-fuzul hai
Dar hai ki lutf-e-shukr-o-shikayat bhi le na jae
KHud se bhi baDh ke us pe bharosa na kijiye
wo aaina hai dekhiye surat bhi le na jae
Ghazal
Purkhon se jo mili hai wo daulat bhi le na jae
Sheen Kaaf Nizam