purane ghar mein naya ghar basana chahta hai
wo sukhe phul mein KHushbu jagana chahta hai
na jaane kyun tere masum jhuT ko aaKHir
zamana sach ki tarah aazmana chahta hai
abhi tapas se nikla nahin tera sadhu
ki phir se ek nai dhuni ramana chahta hai
ye aab-dida Thahar jae jhil ki surat
ki ek chand ka TukDa nahana chahta hai
KHud apni aankh mein pani utarne wala
hamari aankh ko sahra banana chahta hai
tujhe to bandh ke rakkha hai nisti ne 'shahab'
tu hai ki hadd-e-fusun ko miTana chahta hai

Ghazal
Purane ghar mein naya ghar basana chahta hai
Mustafa Shahab