purane doston se ab murawwat chhoD di hum ne
muazzaz ho gae hum bhi sharafat chhoD di hum ne
mayassar aa chuki hai sar-bulandi muD ke kyun dekhen
imamat mil gai hum ko to ummat chhoD di hum ne
kise malum kya hoga maal aainda naslon ka
jawan ho kar buzurgon ki riwayat chhoD di hum ne
ye mulk apna hai aur is mulk ki sarkar apni hai
mili hai naukri jab se baghawat chhoD di hum ne
hai utna waqia us se na milne ki qasam kha li
tassuf is qadar goya wazarat chhoD di hum ne
karen kya ye bala apne liye KHud muntaKHab ki hai
gila baqi raha lekin shikayat chhoD di hum ne
sitare is qadar dekhe ki aankhen bujh gain apni
mohabbat is qadar kar li mohabbat chhoD di hum ne
jo socha hai azizon ki samajh mein aa nahin sakta
shararat ab ke ye ki hai shararat chhoD di hum ne
ulajh paDte agar to hum mein tum mein farq kya rahta
yahi diwar baqi thi salamat chhoD di hum ne
gunahgaron mein shamil muddai bhi aur mulzim bhi
tera insaf dekha aur adalat chhoD di hum ne
Ghazal
Purane doston se ab murawwat chhoD di humne
Shahzad Ahmad