pukar lenge us ko itna aasra to chahiye
dua KHilaf-e-waza hai magar KHuda to chahiye
baja ki main ne zindagi se khae hain bahut fareb
magar fareb khane ko bhi hausla to chahiye
main apne aks ki talash kis ke chehre mein karun
mujhe bhi zist nam ka ek aaina to chahiye
na us ke pas waqt hai na mujh ko fursat-e-nazar
junun ke waste bhi koi silsila to chahiye
chaman ko mujh se zid sahi gulon ki baat aur hai
saba ke hath ek payam bhejna to chahiye
ye kya ki sar jhuka ke KHanjaron ko chumte rahen
sitamgaron ko kuchh nahin to Tokna to chahiye

Ghazal
Pukar lenge usko itna aasra to chahiye
Raees Faraz