اردو हिंदी
Poshida kisi zat mein pahle bhi kahin tha | Shaahi Shayari
poshida kisi zat mein pahle bhi kahin tha

Ghazal

Poshida kisi zat mein pahle bhi kahin tha

Tariq Naeem

;

poshida kisi zat mein pahle bhi kahin tha
main arz o samawat mein pahle bhi kahin tha

ek lamha-e-ghaflat ne mujhe zer kiya hai
dushman to meri ghat mein pahle bhi kahin tha

be-wajh na badle the musawwir ne irade
main us ke KHayalat mein pahle bhi kahin tha

is ke ye KHad-o-KHal zamanon mein bane hain
ye shahr-e-mazafat mein pahle bhi kahin tha

kis zoam se aai hai sahar le ke ujala
suraj to siyah raat mein pahle bhi kahin tha

ek harf jo ab ja ke samar-bar hua hai
wo meri munajat mein pahle bhi kahin tha

main chaak pe rakkha na gaya tha ki mera zikr
na-gufta hikayat mein pahle bhi kahin tha