ponchh kar ashk apni aankhon se muskurao to koi baat bane
sar jhukane se kuchh nahin hota sar uThao to koi baat bane
zindagi bhik mein nahin milti zindagi baDh ke chhini jati hai
apna haq sang-dil zamane se chhin pao to koi baat bane
rang aur nasl zat aur mazhab jo bhi hai aadmi se kamtar hai
is haqiqat ko tum bhi meri tarah man jao to koi baat bane
nafraton ke jahan mein hum ko pyar ki bastiyan basani hain
dur rahna koi kamal nahin pas aao to koi baat bane

Ghazal
Ponchh kar ashk apni aankhon se muskurao to koi baat bane
Sahir Ludhianvi