اردو हिंदी
Piyo ki ma-hasal-e-hosh kis ne dekha hai | Shaahi Shayari
piyo ki ma-hasal-e-hosh kis ne dekha hai

Ghazal

Piyo ki ma-hasal-e-hosh kis ne dekha hai

Anwar Shuoor

;

piyo ki ma-hasal-e-hosh kis ne dekha hai
tamam wahm-o-guman hai tamam dhoka hai

na kyun ho sahib-e-jam-e-jahan-numa ko hasad
sharab se mujhe apna suragh milta hai

kisi ne KHwab ke reze palak palak chun kar
jo shahkar banaya hai TuT sakta hai

main intizar karunga agar meri fariyaad
abhi sukut-ba-gulshan, sada-ba-sahra hai

yahi sawab hai kya kam meri riyazat ka
ki ek KHalq tere nam se shanasa hai

zahe-nasib ki us ko mera KHayal aaya
magar ye baat haqiqat nahin tamanna hai

gunahgar hun ai madar-e-adam mujh ko
bilak bilak ke tere bazuon mein rona hai

KHamir ek hai sab ka to ai zamin ai man
zaban-o-mazhab-o-qaum-o-watan ye sab kya hai

ghalat sahi magar aasan nahin ki ye nukta
kisi hakim ne apne lahu se likkha hai

payambaron ko utara gaya tha qaumon par
KHuda ne mujh pe magar qaum ko utara hai