piya ka ishaq hai mera yar-e-jaani
bin us neh kun jiw kar main na jaani
mohabbat hai munj jiw chaman ka so mera
prit phul rang rang ke us ki nishani
hue aashiqan rup laila na majnun
wale hui hamare waqat u kahani
ishaq panth mein jin na betab howe
use aashiqan kin nahin o siyani
mohabbat ki sultani hai sab jagat mein
ki us sam nahin koi gyani-o-dani
samaj se na har koi mane prit ke
nahin fahm har kas kun main ai pachani
nabi sadqe 'qubta' kun bin sain mukh bin
nahin desta hor mukh yun nurani

Ghazal
Piya ka ishaq hai mera yar-e-jaani
Quli Qutub Shah