piri mein bhala DhunDhiye kya baKHt-e-jawan ko
ab qat-e-mohabbat hi hui jism se jaan ko
mauquf kar is bazm mein ye charb-zabani
ai shama tu kaTwae hai kyun apni zaban ko
be-nam-o-nishani hi baDa nam-o-nishan hai
kya nam-o-nishan chahiye benam-o-nishan ko
is manzil-e-hasti mein Thaharta nahin koi
kya jaane ki ye qafila jata hai kahan ko
insan to hai surat-e-haq kabe mein kya hai
ai shaiKH bhala kyun na karun sajde butan ko
'joshish' gul-e-mazmun-e-chaman taba ka tere
dekhe na kabhi ta-ba-abad ru-e-KHizan ko
Ghazal
Piri mein bhala DhunDhiye kya baKHt-e-jawan ko
Joshish Azimabadi