pine mein ehtiyat ziyaada nahin rahi
phir mai-kade mein baat ziyaada nahin rahi
arz-o-sama bhi hath se mere nikal gae
muTThi mein kaenat ziyaada nahin rahi
phir ye hua ki waqt kahin ja ke kho gaya
din jab ghaTa to raat ziyaada nahin rahi
main zindagi mein barha talwar par chala
mushkil pae siraat ziyaada nahin rahi
phir ye hua ki waqt ne manzar chhupa liye
id-e-tasawwuraat ziyaada nahin rahi
ki zindagi ki hum ne mudaraat umr-bhar
us par bhi ek raat ziyaada nahin rahi
mahsus ho raha hai tere haal-e-zar se
'aKHtar' teri hayat ziyaada nahin rahi

Ghazal
Pine mein ehtiyat ziyaada nahin rahi
Junaid Akhtar