اردو हिंदी
Phulon ko waise bhi murjhana hai murjhaenge | Shaahi Shayari
phulon ko waise bhi murjhana hai murjhaenge

Ghazal

Phulon ko waise bhi murjhana hai murjhaenge

Farooq Shafaq

;

phulon ko waise bhi murjhana hai murjhaenge
khiDkiyan kholin to sannaTe chale aaenge

lakh hum ujli rakhen shahr ki diwaron ko
shahr-name to bahar-haal likkhe jaenge

rakh rah jaegi rudad sunane ke liye
ye to mehman parinde hain chale jaenge

apni laghzish ko to ilzam na dega koi
log thak-haar ke mujrim hamein Thahraenge

aaj jin jaghon ki tafrih se mahfuz hun main
mere haalat mujhe kal wahan pahunchaenge

raste sham ko ghar le ke nahin lauTenge
hum tabarruk ki tarah rahon mein baT jaenge

din kisi tarah se kaT jaega saDkon pe 'shafaq'
sham phir aaegi hum sham se ghabraenge