phulon ki hai taKHliq ki shoalon se bana hai
kandan sa tera jism jo KHushbu mein basa hai
jangal ke ghazalon pe ajab KHauf hai tari
tufan koi shahr ki jaanib se uTha hai
ye husn-e-chaman hai mere ehsas ki taKHliq
warna kahin gul hai na kahin mauj-e-saba hai
har lafz tere chehre ki taswir bana tha
kis karb se sau bar tere KHat ko paDha hai
Dalo mere kanon mein bhi pighla hua sisa
ai barhamno main ne bhi to wed suna hai
tum DhunDte phirte ho jise sehn-e-chaman mein
wo shaKHs abhi kucha-e-qatil ko gaya hai
Ghazal
Phulon ki hai taKHliq ki shoalon se bana hai
Saleem Betab