phul sunghe jaane kya yaad aa gaya
dil ajab andaz se lahra gaya
us se puchhe koi chahat ke maze
jis ne chaha aur jo chaha gaya
ek lamha ban ke aish-e-jawedan
meri sari zindagi par chha gaya
ghuncha-e-dil hae kaisa ghuncha tha
jo khila aur khilte hi murjha gaya
ro raha hun mausam-e-gul dekh kar
main samajhta tha mujhe sabr aa gaya
ye hawa ye barg-e-gul ka ehtizaz
aaj main raaz-e-musarrat pa gaya
'aKHtar' ab barsat ruKHsat ho gai
ab hamara raat ka rona gaya
Ghazal
Phul sunghe jaane kya yaad aa gaya
Akhtar Ansari