phul par os hai aariz pe nami ho jaise
us ke chehre pe meri aankh dhari ho jaise
us ki palkon pe rakhun honT to yun jalte hain
us ke sine mein kahin aag lagi ho jaise
jhil ke honT pe suraj ki kiran lahrai
mere mahbub ke honTon pe hansi ho jaise
ab bhi rah rah ke mere dil mein sisakta hai koi
us mein murat koi bachpan ki chhupi ho jaise
KHat mein is tarah wo tadib mujhe karti hai
umr mein mujh se kai sal baDi ho jaise
mere bachpan ki pujaran ne mujhe yun dekha
apne bhagwan ke charnon mein dukhi ho jaise
tujh se mil kar bhi udasi nahin jati dil ki
tu nahin aur koi meri kami ho jaise
Ghazal
Phul par os hai aariz pe nami ho jaise
Ateeq Anzar