اردو हिंदी
Phul ne murjhate murjhate kaha aahista se | Shaahi Shayari
phul ne murjhate murjhate kaha aahista se

Ghazal

Phul ne murjhate murjhate kaha aahista se

Mustafa Shahab

;

phul ne murjhate murjhate kaha aahista se
ho rahi hai mujh se KHushbu bhi juda aahista se

qurbaten thin phir bhi lagta hai hamare darmiyan
aa ke hael ho gaya ek fasla aahista se

ek muamma hai chaman se us parinde ka safar
sham ko jo aashiyan se uD gaya aahista se

rakh liya ziddi ana ne phir mere sar ka waqar
uncha neze ki ani par kar diya aahista se

bahte bahte jab rawani mein kami aai 'shahab'
ret par sar rakh ke dariya so gaya aahista se