phul ki sukh ki saba ki zindagi
muKHtasar hai kyun wafa ki zindagi
kis ne dekha hai KHuda ki maut ko
kis ne dekhi hai KHuda ki zindagi
hath panw marna be-kar hai
ji rahe hain hum KHala ki zindagi
barha bhi maut se hai samna
aazma li barha ki zindagi
dard sahne ka alag andaz hai
ji rahe hain hum ada ki zindagi
chahe jangal hon ya sahra ya nagar
asl mein tu hai hawa ki zindagi
Ghazal
Phul ki sukh ki saba ki zindagi
Farhat Abbas Shah

