phul jab koi bikharta hai to hans dete hain
dard jab had se guzarta hai to hans dete hain
parda-e-zehn pe mazi ke jharokon se kabhi
ek chehra sa ubharta hai to hans dete hain
subh tak jalna pighalna hai hamari qismat
rang-e-shab yun jo nikharta hai to hans dete hain
aagahi bhulne deti nahin hasti ka maal
TuT ke KHwab bikharta hai to hans dete hain
zindagi johd-e-musalsal hai hirasan kyun ho
walwala jab koi marta hai to hans dete hain
Ghazal
Phul jab koi bikharta hai to hans dete hain
Mumtaz Mirza