phul apne wasf sunte hain us KHush-nasib se
kya phul jhaDte hain dahan-e-andalib se
afshan teri jabin ki hamari nazar mein hai
hum dekhte hain arsh ke tare qarib se
tanha lahad mein hun to dabaate hain ye mujhe
kya kya ulajh rahe hain malak mujh gharib se
kabe mein un ka nur madine mein hai zuhur
aabaad donon ghar hain KHuda ke habib se
yarab bura ho dil ki taDap ka ki bazm mein
baiThe wo dur uTh ke hamare qarib se
mar jaun main to jao mubarak ho jaan-e-man
allah se mujhe tumhein milna raqib se
pahlu-tahi jo karti hai milne mein meri nabz
kahte hain ye sharir mili hai tabib se
mamnun hun main hazrat-e-'naushad' ka 'wasim'
milte hain kya ba-lutf huzur is gharib se

Ghazal
Phul apne wasf sunte hain us KHush-nasib se
Waseem Khairabadi