phir wahi reg-e-bayaban ka hai manzar aur hum
phir muqabil mein hai ek zalim ka lashkar aur hum
raat ko pichhle pahar koi bulata hai hamein
aur lipaT kar roz so jate hain chadar aur hum
zaKHm-e-sar ki dastan ab yaad bhi aati nahin
aashna the kis qadar pahle ye patthar aur hum
ab to ek muddat se hain diwar-o-dar ki qaid mein
sath rahte the kabhi sahra samundar aur hum
sirf bachchon ki mohabbat mein ye ruswai hui
warna sahil par banate ret ka ghar aur hum
rahgiron ne hamein pahchan kar sikke diye
hath phailae khaDe the jab sikandar aur hum
ye haweli bhi kabhi aabaad to hogi magar
ab yahan muddat se rahte hain kabutar aur hum
rahnumai ke liye koi sitara bhej de
kab talak bhaTkenge yunhi KHak-bar-sar aur hum

Ghazal
Phir wahi reg-e-bayaban ka hai manzar aur hum
Wali Aasi