phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai
bahar kitna sannaTa hai andar kitni wahshat hai
sham karen kaise is din ki ThanDi surat dekhen kin ki
idhar udhar to dhuan uDati aag ugalti KHilqat hai
jis ko hum ne chaha tha wo kahin nahin is manzar mein
jis ne hum ko pyar kiya wo samne wali murat hai
phul babul ke achchhe hain lekin sakit taswiron mein
sach much ke sehraon ki to is dil jaisi surat hai
tere baad dukanon par main ja kar puchhta rahta hun
kya wo KHushbu mil sakti hai ab us ki kya qimat hai
baDe baDe sapne nahin boe main ne apne aangan mein
nannhi munni KHushiyan hain meri chhoTi si ek jannat hai
Ghazal
Phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai
Aitbar Sajid