phir un ki nigahon ke payam aae hue hain
phir qalb-o-nazar baKHt pe itrae hue hain
paimana ba-kaf baiTh ke maiKHane mein saqi
hum gardish-e-haalat ko Thahrae hue hain
mahaul munawwar hai moattar hain fazaen
mahsus ye hota hai ki wo aae hue hain
gesu hain ki barsat ki ghanghor ghaTaen
aariz hain ki gul dudh mein nahlae hue hain
kya baKHshenge wo anjuman-e-naz ko zinat
jo phul sar-e-shaKH hi murjhae hue hain
ho chashm-e-karam un pe bhi ai pir-e-KHarabaat
jo aabla-pa dar pe tere aae hue hain
hai dasht-nawardi hi 'nadim' un ka muqaddar
jo bargah-e-husn se Thukrae hue hain

Ghazal
Phir unki nigahon ke payam aae hue hain
Raj Kumar Soori Nadeem