phir rah dikha mujh ko ai mashrab-e-rindana
kuchh bahs nahin is se kaba hai ki but-KHana
KHam hai na subuhi hai shisha hai na paimana
kya jaane kahan gham hai tabani-e-mai-KHana
is tarah bhi hoti hai tashhir-e-wafa aksar
phirti hai saba le kar KHakistar-e-parwana
ki wusat-e-sahra ki qadmon ne pazirai
mujh sa na koi hoga shaista-e-virana
har rind-e-bala-kash par girti hai sar-e-mahfil
barq-e-nigah-e-saqi paimana-ba-paimana
irfan-e-talab kahiye ya tark-e-talab us ko
manzil ka shanasa bhi manzil se hai begana
kuchh KHar-e-chaman ka bhi ho zikr chaman-sazo
ghunchon ka bayan ta-kai afsana-dar-afsana
farzangi-e-dil bhi kuchh chahiye wahshat mein
diwana sar-e-mahfil ban jae na diwana
thi sham-e-farozan ki targhib-e-jigar-sozi
ya aag mein KHud apni jal uTTha hai parwana
asrar do-alam ke khulte hain 'raza' dil par
takwin-e-azal ka hai mahram dil-e-diwana

Ghazal
Phir rah dikha mujhko ai mashrab-e-rindana
Raza Jaunpuri