اردو हिंदी
Phir qissa-e-shab likh dene ke ye dil haalat banae hai | Shaahi Shayari
phir qissa-e-shab likh dene ke ye dil haalat banae hai

Ghazal

Phir qissa-e-shab likh dene ke ye dil haalat banae hai

Taleef Haidar

;

phir qissa-e-shab likh dene ke ye dil haalat banae hai
har sher hamara aaKHir ko teri hi baat banae hai

tum ko hai bahut inkar to tum bhi is ki taraf ja kar dekho
wo shaKHs amawas raat ko kaise chandni raat banae hai

ab KHwab mein bhi us zalim ko bas hijr ka sauda rahta hai
ai jazba-e-dil tu kis ke liye ye phul aur pat banae hai

kya hosh-o-KHirad kya harf-o-nawa sab apne liye bekar hue
qirtas-e-nazar par tanhai bite lamhat banae hai

har bar wahi hijran hijran ka shor machane wala dil
apni hi kare hai rishta-e-gham tere hi sat banae hai

kya jaaniye ab ke mausam mein kab waqt ke ji mein kya aae
kis ki auqat bigaDe hai kis ki auqat banae hai

ye tera diwana raat gae malum nahin kyun pahron tak
aansu ki lakiron se kitne naqsh-e-jazbaat banae hai