phir mujhe likhna jo wasf-e-ru-e-jaanan ho gaya
wajib is ja par qalam ko sar jhukana ho gaya
sar-kashi itni nahin zalim hai o zulf-e-siyah
bas ki tarik apni aankhon mein zamana ho gaya
dhyan aaya jis ghaDi us ke dahan-e-tang ka
ho gaya dam band mushkil lab hilana ho gaya
ai azal jaldi rihai de na bas taKHir kar
KHana-e-tan bhi mujhe ab qaid-KHana ho gaya
aaj tak aaina-wash hairan hai is fikr mein
kab yahan aaya sikandar kab rawana ho gaya
daulat-e-duniya na kaam aaegi kuchh bhi baad-e-marg
hai zamin mein KHak qarun ka KHazana ho gaya
baat karne mein jo lab us ke hue zer-o-zabar
ek saat mein tah-o-baala zamana ho gaya
dekh li raftar us gul ki chaman mein kya saba
sarw ko mushkil qadam aage baDhana ho gaya
jaan di aaKHir qafas mein andalib-e-zar ne
muzhda hai sayyaad viran aashiyana ho gaya
zinda kar deta hai ek dam mein ye isa-e-nafas
khel is ko goya murde ko jilana ho gaya
tausan-e-umr-e-rawan dam bhar nahin rukta 'rasa'
har nafas goya usi ka taziyana ho gaya
Ghazal
Phir mujhe likhna jo wasf-e-ru-e-jaanan ho gaya
Bhartendu Harishchandra