phir lutf-e-KHalish dene lagi yaad kisi ki
phir bhul gai yaad ko be-dad kisi ki
phir ranj-o-alam ko hai kisi ka ye ishaara
ujDi hui basti karo aabaad kisi ki
phir KHat ka jawab ek wahi tanz ka misra
majbur hai kyun fitrat-e-azad kisi ki
phir de ke KHushi hum use nashad karen kyun
gham hi se tabiat hai agar shad kisi ki
phir pand-o-nasihat ke liye aane lage dost
wo dost jo karte nahin imdad kisi ki
phir shahr mein charcha hai nai sang-zani ka
aKHbar mein phir darj hai rudad kisi ki
phir bab-e-asar ka koi rasta nahin milta
phir bhaTki hui phirti hai fariyaad kisi ki
phir KHak uDate hue phirte hain bagule
phir dasht mein miTTi hui barbaad kisi ki
phir main bhi karun kyun na 'hafiz' is pe tasallut
jagir nahin tab-e-KHuda-dad kisi ki
Ghazal
Phir lutf-e-KHalish dene lagi yaad kisi ki
Hafeez Jalandhari