اردو हिंदी
Phir lauT kar gae na kabhi dasht-o-dar se hum | Shaahi Shayari
phir lauT kar gae na kabhi dasht-o-dar se hum

Ghazal

Phir lauT kar gae na kabhi dasht-o-dar se hum

Jagan Nath Azad

;

phir lauT kar gae na kabhi dasht-o-dar se hum
nikle bas ek bar kuchh is tarah ghar se hum

kuchh dur tak chale hi gae be-KHabar se hum
ai be-KHudi-e-shauq ye guzre kidhar se hum

aazad be-niyaz the apni KHabar se hum
palTe kuchh is tarah se deccan ke safar se hum

qalb-o-nazar ka daur bas itna hi yaad hai
wo ek qadam udhar se baDhe the idhar se hum

ai kash ye sada bhi kabhi kan mein paDe
uTTho ki lauT aae hain apne safar se hum

dil ka chaman hai kaif-e-bahaaran liye hue
guzre the ek bar teri rah-guzar se hum

aata hai ek sitara nazar chand ke qarib
jab dekhte hain KHud ko tumhaari nazar se hum

is se zyaada daur-e-junun ki KHabar nahin
kuchh be-KHabar se aap the kuchh be-KHabar se hum

jitni bhi rah gai thi kami dil ke dard mein
utna hi luT gae hain mataa-e-nazar se hum

roz-e-azal se apni jabin mein taDap rahi
wabasta yun rahe hain tere sang-e-dar se hum