phir lahlha uTha samay aamon pe baur ka
jaane sakhi kab aae musafir wo dur ka
is ganw ke nasheb mein bahti hai ek nadi
naddi pe ek peD jhuka hai khajur ka
nilam si marg nain nigah dil ke aar-par
jiwan ke ird-gird kiran kunD nur ka
ek pal milap phir kaDe kaDwe kaThin wiyog
maqsad tha bas yahi tere mere zuhur ka
pakki saDak ke dahne qabren kuan wo ganw
ganw ki or-chhor saman sim-thur ka
aadarsh man mein chah ka shardha nibah ki
aanand us ke mukh pe muqaddas ghurur ka
kuchh raat udas kuchh kaTe janmon jugon ki pyas
kuchh tere mere jism mein sauda futur ka
tikhe taraaz zawiye naT-khaT nachant ang
sundar sarir kanch ki turshi sutur ka
yaaden wo dur des wo ghar aur wo samne
simin badan siyah libas ek hur ka
Ghazal
Phir lahlha uTha samay aamon pe baur ka
Nasir Shahzad