phir koi mahshar uThane meri tanhai mein aa
apne hone ki KHabar le kar kabhi basti mein aa
dekhna Thahra to phir ek ye tamasha bhi sahi
aag lagne ki KHabar sun kar hi ab khiDki mein aa
ai mere honTon ki lazzat shaKH ko bojhal na kar
ek hilore mein shajar se TuT kar jholi mein aa
jurm-e-be-lazzat hai sahil par teri tar-damani
ya palaT KHushki ki jaanib ya khule pani mein aa
toD bhi de halqa-e-yaran bahut shab Dhal chuki
naql-e-zindani ko ghar ki chaar-diwari mein aa
mere pairon mein to zanjiren gali kuchon ki hain
mujh se milne shahr ki gunjaan aabaadi mein aa
KHwahish-e-be-KHanuman ko la makan-e-harf mein
nau-walad bachche ki surat paikar-e-mani mein aa
nind kuchh kar le ki taza aankh pe suraj khule
subh sahil par utarna hai to is kashti mein aa
KHun shiryanon ka aankhon mein dikhai de sake
tu bhi dariya hai agar 'shahid' to tughyani mein aa

Ghazal
Phir koi mahshar uThane meri tanhai mein aa
Saleem Shahid