phir kisi hadse ka dar khole
pahle parwaz ko wo par khole
jaise jangal mein raat utri ho
yun udasi mili hai sar khole
pahle taqdir se nimaT aae
phir wo apne sabhi hunar khole
manzilon ne waqar baKHsha hai
raste chal paDe safar khole
jo samajhta hai zindagi ke rumuz
maut ka dar wo be-KHatar khole
hai 'kanwal' KHauf raegani ka
kaise is zindagi ka Dar khole
Ghazal
Phir kisi hadse ka dar khole
Aasnath Kanwal