اردو हिंदी
Phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein | Shaahi Shayari
phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein

Ghazal

Phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein

Azad Gulati

;

phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein
kabhi to ek pal ai dost yun Thahar mujh mein

jo KHud mein jhankun to sannaTe sansanate hain
koi to kar gaya hai raat yun basar mujh mein

bhaTakta phirta hun sunsan rahguzaron par
basa hua hai kisi yaad ka nagar mujh mein

ajab nahin kai moti bhi tere hath lagen
zara le kaam tu himmat se aur utar mujh mein

main teri zat ka saya hun tere andar hun
meri talash sar-e-rah-guzar na kar mujh mein