phir is andaz se bahaar aai
ki hue mehr o mah tamashai
dekho ai sakinan-e-KHitta-e-KHak
is ko kahte hain aalam-arai
ki zamin ho gai hai sar-ta-sar
ru-kash-e-sath-e-charKH-e-minai
sabza ko jab kahin jagah na mili
ban gaya ru-e-ab par kai
sabza o gul ke dekhne ke liye
chashm-e-nargis ko di hai binai
hai hawa mein sharab ki tasir
baada-noshi hai baada-paimai
kyun na duniya ko ho KHushi 'ghaalib'
shah-e-din-dar ne shifa pai
Ghazal
Phir is andaz se bahaar aai
Mirza Ghalib