phir hunar-mandon ke ghar se be-hunar jata hun main
tum KHabar be-zar ho ahl-e-nazar jata hun main
jeb mein rakh li hain kyun tum ne zabanen kaT kar
kis se ab ye ajnabi puchhe kidhar jata hun main
han main saya hun kisi shai ka magar ye bhi to dekh
gar taaqub mein na ho suraj to mar jata hun main
hath aankhon se uTha kar dekh mujh se kuchh na puchh
kyun ufuq par phailti subhon se Dar jata hun main
bas yunhi tanha rahunga is safar mein umr bhar
jis taraf koi nahin jata udhar jata hun main
KHauf ki ye intiha sadiyon se aankhen band hain
shauq ki ye ablahi be-baal-o-par jata hun main
'arsh' rasmon ki panah-gahen bhi ab sar par nahin
aur wahshi raston par be-sipar jata hun main
Ghazal
Phir hunar-mandon ke ghar se be-hunar jata hun main
Arsh Siddiqui