phir fikr-e-suKHan main kar raha hun
aflak se main guzar raha hun
lafzon ke khila raha hun ghunche
zulmat mein sitare bhar raha hun
ye shams-o-qamar hain dekhe-bhaale
in sab ka main ham-safar raha hun
miTTi se janam janam ka rishta
dharti ka singar kar raha hun
jannat meri fikr ki hai mearaj
dozaKH se to main guzar raha hun
duniya ke qaside main ne likhe
bas apna hi nauhagar raha hun
sab ki hai KHabar 'sarosh' lekin
main KHud se hi be-KHabar raha hun

Ghazal
Phir fikr-e-suKHan main kar raha hun
Rifat Sarosh