اردو हिंदी
Phir dil ne kaha pyar kiya jae kisi ko | Shaahi Shayari
phir dil ne kaha pyar kiya jae kisi ko

Ghazal

Phir dil ne kaha pyar kiya jae kisi ko

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

;

phir dil ne kaha pyar kiya jae kisi ko
jaise bhi ho hamwar kiya jae kisi ko

yun yaad lagatar kiya jae kisi ko
aamada-e-izhaar kiya jae kisi ko

kam-hausla hai koi mohabbat mein to phir kyun
be-kar giran-bar kiya jae kisi ko

mashuq ki marzi mein hi aashiq ki raza hai
mashhur KHata-war kiya jae kisi ko

dil us ka jigar us ka hai jaan us ki hum us ke
kis baat se inkar kiya jae kisi ko

saqi ki inayat hai to mai-kash ko hai kya uzr
aasuda o sarshaar kiya jae kisi ko

ek kaif tha saghar mein to hum ban gae kaifi
sharminda na be-kar kiya jae kisi ko

hai be-kasi be-gunah to phir kyun mere sarkar
ruswa sar-e-darbar kiya jae kisi ko

samjhaya bahut hum ne pe 'rahbar' ko ye zid hai
sharminda-e-kirdar kiya jae kisi ko